Friday, January 22, 2010

All About Salat-ul-Istisqa

Salat-ul-istisqa

Agar qehat sali ho jaye, Mee'n na barsay tu is waqat musalmano ko chahyeay k aik din tajveez ker k Soraj nikaltay he puranay kapray pehan ker aajzi aur zari kertay hoay kissi khuli jagah mein niklain aur mimber rakha jaye

Ibn-e-Abas R.A farmatay hain

Rasool S.A.W puranay kapray pehanay, khushu aur ahistagi say chaltay hoay, ajzi aur zari kertay niklay aur namaz (istisqa) ki jagah per pohanchay. (Abu Dawood Salat-ul-istisqa Hadees 1165)

Ayesha R.A say riwayat hai k Sahaba Karam nay Aap S.A.W say qahat sali ki shikayat ki tu aap nay Eid Gah mein mimber rakhnay ka hukm dia. Jub Soraj ka kinara zahir hoa tu Aap S.A.W niklay aur mimber per bethay aur Allah ki baraii aur hamd-o-Sana bayan ki Phir farmaya

"Tum nay apnay ilaqon mein qahat sali aur bar waqat barish na honay ki shikayat ki hai, Jub k Allah ki taraf say tum ko hukm hai k tum Is ko pukarao aur Is nay tumhari dua qubool kernay ka wada keeya hai"

Phir farmaya

" Sub tareef Allah k leeye hai jo Tamam jahano'n ka parwardigaar hai; bohat reham kernay wala aur nehayat meharbaan hai. Roz-e-jaza ka malik ha. Jo chahta hai wo kerta hai. Ay Allah tu Mabood hai, tere siwa koii mabood nahi. Tu sakhi aur bay parwa hai aur hum (tere) muhtaj aur faqeer banday hain.Hum per barish barsa, aur jo barish tu nazil farmaye, isay hamaray leeye aik mudattar tk qowat aur (maqasid tk) pohanchnay ka zariya bana"

(Abu Dawood , Salat-ul-istisqa)

Aap S.A.W kay hatho'n ki pusht asman ki taraf thi. ( Muslim, Salat-ul-istisqa) Aur kharay ho ker dua'ain kertay rahay.

Phir imam logon ki taraf peeth ker k qibla rukh ho jaye aur mandarja zel dua'ain baray ro ro ker aajzi k sath parhay. Aur log bhi khushu k sath ab-deedah ho ker,hathon ko ulta ker k uthayein aur yeh dua'ain mangain.

Allahumma'sqinaa

Ay Allah, hamein pani pila

Allahumma'sqinaa

Ay Allah, hamein pani pila

Allahumma'sqinaa

Ay Allah, hamein pani pila

(Bukhari, Al-istisqa)


" Ay hamaray Allah hamein pani pila, hum per aisi barish nazil farma jo hamari tishnigi bujha day. Halki pho'ar'ain bun ker ghhalla uganay wali, nafa' dene wali ho na k nuqsaan pohanchanay wali, jald anay wali ho na k dair laganay wali"
( Abu-dawood Salat-ul-istisqa)


"Ay Allah! apnay bando'n aur janwaro'n ko serab ker, apni rehmat ko phela, aur apnay murda shehro'n ko zinda ker day"
( Abu-dawood Salat-ul-istisqa Sanad = Hasan)

Chhadar ka palatna

Namaz-e-istisqa mein aik ehm masla chhadar ka palatna hai. Abdullah bin Zaid R.A say marwi hai k Aap S.A.W istisqa k leeye niklay, aap nay apnee peeth logon ki taraf ki aur qibla rukh ho ker dua kernay lagay phir apnee chadar ko palta"

(Bukhari)

Aap S.A.W per siyah (black) chhadar thi, aap nay is ka nichla hissa opper lana chahha magr mushkil pesh aii tu aap nay isay apnay kandhon per he ulat leeya"
(Abu-dawood Salat-ul-istisqa)

Chadar palatay waqat chadar k ander ka hissa bahar keeya jaye, aur dayan kinara bayan kandhay per aur bayan kinara dayan kandhay per daal leeya jaye.

Imam k saath log apnee chadar bhi ultain ( Musnad Ahmed)

Aap S.A.W logon ko lay kr barish talab kernay Eid Gah ki taraf niklay, in ko do rikatain namaz parhaii aur is mein buland awaz say qira't ki " ( Bukhari)

Aap S.A.W nay namaz-e-Eid ki tarha logon ko do rikatain namaz-e-istisqa parhaii" (Tirmizi)

Namaz parha ker imam khut'ba day ( Yani namaz-e-Eid ki tarha). ( Musnad Imam Ahmed)

Jamhoor ka amal isi per hai magar khutba namaz say pehlay bhi jayaz hai. ( Ibn-e-khuzema)

Abdullah bin Yazeed Ansari R.A nay namaz-e-istisqa BAGHAIR azan aur aqamat k parhaii ( Bukhari)